Tuesday, July 3, 2018

KAHI APKA ACCOUNT Bank account FB whatsapp email HACK TO NAHI HO GAYA

KAHI APKA ACCOUNT Bank account FB whatsapp email HACK TO NAHI HO GAYA


Aaj hum apko account Hacking(bank account/gmail/ FB/Whatsapp/twitter etc) se related wo sabhi methods batane jaa rahe hai jo Hackers account ko hack karne ke liye sabse jyada use karte hai. Inhe Jarur Jarur pade or Kaise Hackers ke attack se bache, ke bare me jaane.

Friends, Agar aap Internet use karte hai to apka bhi koi na koi account hoga hi jo Internet se connected ho. Fir chahe wo email id ho ya Bank account , Ya fir Facebook, Whatsapp, Hike, Twitter, Snapchat, Instagram etc account ho, Agar savdhani nahi rakhi gayi In sabhi accounts ko Hackers easily Hack kar sakte hai. 



Aajkal ke technological world me Internet ki hume har jagah jarurat hoti hai Or ye hi wo jagah bhi hai jaha se Hackers apki Personal details chori kar lete hai. Is detail ko Hackers ya to apke account se money transfer karne ke liye chori karte hai ya fir apki personal detail ko different companies ko bechne ke liye.


Isse pehle ke hum apko un 15 tariko ke bare me bataye jo Hackers hacking ke liye use karte hai, Aaiye jante hai ke Normally users Internet use karte time Kya kya mistakes karte hai.



Common Mistakes Users Do:-

  • Same passwords
Mostly users apne sabhi accounts ke same password rakhte hai. Ye ek bahut badi mistake hai Jisse ek account hack karte hi automatically apke sabhi accounts per Hackers ki pahuch ho jati hai. 

  • Complacent internet habits Or Over confidence:-
Normally Jab bhi hum internet access karte hai to konsi website humari kya detail access kar rahi hai ke bare me nahi sochte hai. Hume over confidence hota hai ke sab kuch thik hi chal raha hai.

  • Out of date security and browser versions
Out of date browser or Out of date Anti virus software ko virus affected karke hack karna bilkul bhi mushkil nahi hota hai.

  • Incorrect Account (Bank/Facebook etc) window settings
Insecure page jaise "http://" per apna account kholne se bhi apki detail related website chori kar leti hai. Apna account hamesha �https://� wale URL per hi kholna chaiye. Yaha https me "s" ka matlab secure se hota hai. 

So Friends, Ab hum Un tariko ke bare me  batane jaa rahe hai jo Hackers mostly account hacking ke liye use karte hai. 


15 Best ways Hackers Use for hacking account details:-

1. Phishing:- 


  • Most popular hacking style.
  • Isme Hacker ek fake(farzi) log-in page banata hai jo exactly apke log-in page ki tarah dikhta hai. Or fir wo apse log in karne ke liye kehta hai. Jaise hi aap usme log-in karte hai, apka email id or password uske paas ek text file ke roop me save ho jata hai. Hacker us text file ko download kar ke apke account ko access kar leta hai.
Note:- Bank account ke case me esa bahut baar hota hai. Jisse Hackers apke bank se money chori kar sakte hai.



How to prevent phishing attack(Phishing se kaise bacha jaye):-
  • Apna account kabhi bhi other devices per log-in nahi kare.
  • Bank account jaise very important account ko hamesha crome per hi log-in kare. Ye phishing accacks ko identify kar leta hai.
  • Un emails ko open naa kare jo apko apke account ko log-in karne ke liye kehte hai.



2. Keylogging:-




  • Keylogging mostly FB account hack me kaam aata hai. or ye hacking ka sabse easiest way hai.
  • Isme keylogger naam ka ek chhota sa programme hota hai jo kisi software ko download karne ke time ya other kisi way se apke PC me install kar diya jata hai. Ye software apke PC ki sabhi information ko save kar leta hai or fir attacker ko ye logs ya to FTP ke threough ya fir directly send kar diya jata hai.


How to avoid keylogger(keylogger se kaise bacha jaye):-
  • Humesha trusted website se hi software download kare.
  • Apne USB drive ko scan karke hi use me le taki virus na lage.
  • Ek accha or updated Anti-virus or internet security humesha apne PC me rakhe. Taki keylogger apke PC me virus ke through install na ho sake.

3. Saved passwords from Browser:-






  • Jab bhi hum Browser me log-in karte hai to browser humse computer me username or password save karne ke liye puchta hai. Koi bhi apke account ko apke Browser Password Manager se hack kar sakta hai.
  • Aap apne PC me URL  chrome://settings/passwords me jake Saved username or password dekh sakte hai.



How to Protect yourself(Saved password se Protect kaise kiya jaye):-

  •  Apni log-in detail Browser me save nahi kare.
  • Apna Password humesha Strong or Complex rakhe.

4. Session Hijacking:-


  • Ye widely LAN or Wifi connection per use hota hai.
  • Session Hijecking me Hacker apke Browser ki cookies ke through apki details chori karta hai.
  • Browser cookie user ko website per authenticate karti hai.
  • Specially HTTP (non-secure) connection per cookie chori hone ke jyada chances rehte hai.

How to protect from Session Hijecking(Session Hijecking se kaise bacha jaye):-
  • Browser per log-out karte hi cookies delete kar de.
  • Secure connection (HTTPS) per hi account log-in kare.

 5. Sidejacking With Firesheep:-





  • Sidejacking attack ke liye Firesheep use karte hai.
  • Isme attacker or victim dono ka same Wifi network use karna jaruri hota hai.
  • Ye ek tarah ki Session Hijecking hi hai bus isme mainly wifi users target hote hai.

How to avoid Sidejacking with Firesheep( Sidejacking with Firesheep ko kaise avoid kare):- 


  • Unknown Wifi network se apna device connect nahi kare.



6. Mobile Phone Hacking:-



  • Is method se Hacking tabhi possible hai jab mobile phone se apna account access kiya jaye.
  • Aajkal kai tarah ke Jasoosi mobile software Spy Mobile Software) hai jo apke mobile ko monitor karte hai.
  • Most popular Spy mobile software hai : Mobile Spy Or Spy Phone Gold


Protect from Mobile Phone Hacking(Mobile Phone Hacking se kaise bache)

  • Apne Phone me trustworthy mobile security or anti-virus use kare.
  • Unknown resources se apps install nahi kare.
  • Suspicious apps ko apne phone se immediately uninstall kar de.


7. DNS Spoofing:-





  • Agar attacker or victim dono same network use karte hai to DNS Spoofing se Hacking ki ja sakti hai.
  • Isme attacker DNS Spoofing attack ke  through user ke facebook page jaisa Fake page banata hai or use original se replace kar deta hai.



How to Protect yourself with DNS Spoofing(DNS Spoofing se Protect kaise kiya jaye):-
  • Apne DNS server ko securely use kare. 
  •  Apni cache postioning ke prati sajag rahe.

8. USB Hacking :-





  • Agar attacker apke system ko physically access kar sakta hai to just ek Programming ki hui USB insert kar wo apke browser me save password ko extract kar sakta hai.




    Protect from Mobile USB Hacking(USB Hacking se kaise bache) :-
    • Only trusted USB hi system me insert kare.
    • Seond Hand USB purchase karne se bache.
    • USB ko achhe se scan kar ke hi use me le.



    9. Man in the Middle Attacks:-





    • Agar attacker or victim dono same LAN per hai or switch based network use karte hai to Hacker Client Or Server ke bich me default Gateway ki tarah act karta hai Or bich ka sara traffic capture kar leta hai.


    How to prevent Middle Man Attacking(Middle Man Attacking ko kaise roka jaye):-


    • Use VPN services.
    • Internet server access karne ke liye Proxy Server use kare.
    • Use an antivirus which provides best Firewall options.

    10. Botnets:-



    • Ye high set up cost ke karan normally FB, whatsapp account hack karne ke liye use me nahi liya jata. Ise advance attack(bank account etc) me use kiya jata hai.
    • Botnets kuch compromised computers ka collection hai. Iska process lagbag keylogging jaisa hai bus isme kuch advanced functions bhi hote hai.
    • Most Popular Botnets :- Spyeye Or Zeus


    How to Protect yourself (Botnets se Protect kaise kiya jaye):-

    • Sabhi softwares up to date rakhe.
    • Firewall ko humesha On hi rakhe.
    • Flash drive ko sawdhani se use kare.
    • Strong account password use kare or ise kisi se bhi share nahi kare.

    11. Social Engineering:-





    • Normally Users apni DOB ya spouse name ya mobile number ya vehicle number jaise simple password rakhte hai. Jise chori karna bahut easy hai.
    • Is tarah ki Hacking wo log use karte hai jise victim ki personal information ke bare me pata hai.


    How to avoid Social Engineering (Social Engineering ko kaise avoid kare):- 

    • Email, Chat messenger ya phone se apni personal information share nahi kare.
    •  Unknown or Suspicious sites ke links per click naa kare.
    • Baiting ki risk se bachne ke liye USB device ko block kar de.

    12. Email ID Hacking:-






      • Ye normally FB account Hack karne ke kaam aata hai.
      • Isme Hacker ko bus apke connected email ID ki jarurat hoti hai. Or wo apke password ko reset kar sakta hai.


      How to Protect yourself (Email ID Hacking se Protect kaise kiya jaye):-

      • Apne Gmail account me 2 step verification enable kar ke rakhe.
      • Apne Email account me strong password rakhe.
      • Unnecessory sites per apna Email ID nahi daale.




      13. Viewing Masked Passwords:-





      • Agar apke browser ne apka password save kar rakha hai to Hacker Apke browser ke inspect element me bus kuch changes kar ke Masked Password (****) ko dekh sakta hai. 
      • Isse bachne ke liye apne PC ko kabhi bhi Sign-Up page per chhod kar nahi jaye.

      14. Hacking Wifi Network:-




      • Agar apke Router security ka password weak hai to Hacker apke wifi ko hack kar ke apke account ko bhi hack kar sakta hai.

      Prevent Wifi Network Hacking(Wifi Network Hacking ko kaise roka jaye):-

      • Free or Public Wifi Use naa kare.
      • Public Wifi use karte time humesha VPN use kare.
      • Apna Wifi password time to time change karte rahe.

      15. Log-Out:-





      No comments:

      Post a Comment

      Note: Only a member of this blog may post a comment.